مجنوں نے شہر چھوڑا تو صحرا بھی چھوڑ دے
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath
majnūñ ne shahr chhoḌā to sahrā bhī chhoḌ denazzāre kī havas ho to lailā bhī chhoḌ de
vaa.iz kamāl-e-tark se miltī hai yaañ murādduniyā jo chhoḌ dī hai to uqbā bhī chhoḌ de
taqlīd kī ravish se to behtar hai ḳhud-kushīrasta bhī DhūñD ḳhizr kā saudā bhī chhoḌ de
mānind-e-ḳhāma terī zabāñ par hai harf-e-ġhairbegāna shai pe nāzish-e-bejā bhī chhoḌ de
lutf-e-kalām kyā jo na ho dil meñ dard-e-ishqbismil nahīñ hai tū to taḌapnā bhī chhoḌ de
shabnam kī tarah phūloñ pe ro aur chaman se chalis baaġh meñ qayām kā saudā bhī chhoḌ de
hai āshiqī meñ rasm alag sab se baiThnābut-ḳhāna bhī haram bhī kalīsā bhī chhoḌ de
saudā-garī nahīñ ye ibādat ḳhudā kī haiai be-ḳhabar jazā kī tamannā bhī chhoḌ de
achchhā hai dil ke saath rahe pāsbān-e-aqllekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de
jiinā vo kyā jo ho nafas-e-ġhair par madārshohrat kī zindagī kā bharosā bhī chhoḌ de
shoḳhī sī hai savāl-e-mukarrar meñ ai kalīmshart-e-razā ye hai ki taqāzā bhī chhoḌ de
vaa.iz subūt laa.e jo mai ke javāz meñ'iqbāl' ko ye zid hai ki piinā bhī chhoḌ de