عقل گو آستاں سے دور نہیںاس کی تقدیر میں حضور نہیںaql go āstāñ se duur nahīñus kī taqdīr meñ huzūr nahīñعلامہ اقبالAllama Iqbal
دل بینا بھی کر خدا سے طلبآنکھ کا نور دل کا نور نہیںdil-e-bīnā bhī kar ḳhudā se talabaañkh kā nuur dil kā nuur nahīñعلامہ اقبالAllama Iqbal
علم میں بھی سرور ہے لیکنیہ وہ جنت ہے جس میں حور نہیںilm meñ bhī surūr hai lekinye vo jannat hai jis meñ huur nahīñعلامہ اقبالAllama Iqbal
کیا غضب ہے کہ اس زمانے میںایک بھی صاحب سرور نہیںkyā ġhazab hai ki is zamāne meñek bhī sāhib-e-surūr nahīñعلامہ اقبالAllama Iqbal
اک جنوں ہے کہ با شعور بھی ہےاک جنوں ہے کہ با شعور نہیںik junūñ hai ki bā-shu.ūr bhī haiik junūñ hai ki bā-shu.ūr nahīñعلامہ اقبالAllama Iqbal