رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عقل گو آستاں سے دور نہیں

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath

aql go āstāñ se duur nahīñus kī taqdīr meñ huzūr nahīñ
dil-e-bīnā bhī kar ḳhudā se talabaañkh kā nuur dil kā nuur nahīñ
ilm meñ bhī surūr hai lekinye vo jannat hai jis meñ huur nahīñ
kyā ġhazab hai ki is zamāne meñek bhī sāhib-e-surūr nahīñ
ik junūñ hai ki bā-shu.ūr bhī haiik junūñ hai ki bā-shu.ūr nahīñ
nā-subūrī hai zindagī dil kīaah vo dil ki nā-subūr nahīñ
be-huzūrī hai terī maut kā raazzinda ho tū to be-huzūr nahīñ
har guhar ne sadaf ko toḌ diyātū hī āmāda-e-zuhūr nahīñ
arinī maiñ bhī kah rahā huuñ magarye hadīs-e-kalīm-o-tūr nahīñ