جب قدم اس کافر بدکیش کی جانب بڑھےدور پہنچے سو قدم پرہیزگاری رہ گئیjab qadam us kāfir-e-bad-kesh kī jānib baḌheduur pahuñche sau qadam parhez-gārī rah ga.īبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہوتے ہوتے چشم سے آج اشک باری رہ گئیآبرو بارے تری ابر بہاری رہ گئیhote hote chashm se aaj ashk-bārī rah ga.īaabrū baare tirī abr-e-bahārī rah ga.īبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
آتے آتے اس طرف ان کی سواری رہ گئیدل کی دل میں آرزوئے جاں نثاری رہ گئیaate aate is taraf un kī savārī rah ga.īdil kī dil meñ ārzū-e-jāñ-nisārī rah ga.īبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہم کو خطرہ تھا کہ لوگوں میں تھا چرچا اور کچھبات خط آنے سے تیرے پر ہماری رہ گئیham ko ḳhatra thā ki logoñ meñ thā charchā aur kuchhbaat ḳhat aane se tere par hamārī rah ga.īبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ٹکڑے ٹکڑے ہو کے اڑ جائے گا سب سنگ مزاردل میں بعد از مرگ کچھ گر بے قراری رہ گئیTukḌe TukḌe ho ke uḌ jā.egā sab sañg-e-mazārdil meñ ba.ad-az-marg kuchh gar be-qarārī rah ga.īبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar