نہ درویشوں کا خرقہ چاہیئے نہ تاج شاہانامجھے تو ہوش دے اتنا رہوں میں تجھ پہ دیواناna durveshoñ kā ḳhirqa chāhiye na tāj-e-shāhānāmujhe to hosh de itnā rahūñ maiñ tujh pe dīvānāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کتابوں میں دھرا ہے کیا بہت لکھ لکھ کے دھو ڈالیںہمارے دل پہ نقش کالجحر ہے تیرا فرماناkitāboñ meñ dharā hai kyā bahut likh likh ke dho Dālīñhamāre dil pe naqsh-e-kal-hajr hai terā farmānāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
غنیمت جان جو دم گزرے کیفیت سے گلشن میںدئے جا ساقیٔ پیماں شکن بھر بھر کے پیماناġhanīmat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan meñdiye jā sāqī-e-paimāñ-shikan bhar bhar ke paimānāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
نہ دیکھا وہ کہیں جلوہ جو دیکھا خانۂ دل میںبہت مسجد میں سر مارا بہت سا ڈھونڈا بت خاناna dekhā vo kahīñ jalva jo dekhā ḳhāna-e-dil meñbahut masjid meñ sar maarā bahut sā DhūñDā but-ḳhānāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کچھ ایسا ہو کہ جس سے منزل مقصود کو پہنچوںطریق پارسائی ہووے یا ہو راہ رنداناkuchh aisā ho ki jis se manzil-e-maqsūd ko pahuñchūñtarīq-e-pārsā.ī hove yā ho rāh-e-rindānāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar