رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نہ درویشوں کا خرقہ چاہیئے نہ تاج شاہانا

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 7 sher · Roman Urdu ke saath

na durveshoñ kā ḳhirqa chāhiye na tāj-e-shāhānāmujhe to hosh de itnā rahūñ maiñ tujh pe dīvānā
kitāboñ meñ dharā hai kyā bahut likh likh ke dho Dālīñhamāre dil pe naqsh-e-kal-hajr hai terā farmānā
ġhanīmat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan meñdiye jā sāqī-e-paimāñ-shikan bhar bhar ke paimānā
na dekhā vo kahīñ jalva jo dekhā ḳhāna-e-dil meñbahut masjid meñ sar maarā bahut sā DhūñDā but-ḳhānā
kuchh aisā ho ki jis se manzil-e-maqsūd ko pahuñchūñtarīq-e-pārsā.ī hove yā ho rāh-e-rindānā
ye saarī āmad-o-shud hai nafas kī āmad-o-shud parisī tak aanā jaanā hai na phir jaanā na phir aanā
'zafar' vo zāhid-e-bedard kī hū-haq se behtar haikare gar rind dard-e-dil se hāv-hū-e-mastānā