دل مرا بیٹھا ہے لے کر پھر مجھی سے وہ نگارپوچھتا ہے ہاتھ میں میرے بتا کیا چیز ہےdil mirā baiThā hai le kar phir mujhī se vo nigārpūchhtā hai haath meñ mere batā kyā chiiz haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دیکھو انساں خاک کا پتلا بنا کیا چیز ہےبولتا ہے اس میں کیا وہ بولتا کیا چیز ہےdekho insāñ ḳhaak kā putlā banā kyā chiiz haiboltā hai is meñ kyā vo boltā kyā chiiz haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
روبرو اس زلف کے دام بلا کیا چیز ہےاس نگہ کے سامنے تیر قضا کیا چیز ہےrū-ba-rū us zulf ke dām-e-balā kyā chiiz haius nigah ke sāmne tīr-e-qazā kyā chiiz haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
یوں تو ہیں سارے بتاں غارتگر ایمان و دیںایک وہ کافر صنم نام خدا کیا چیز ہےyuuñ to haiñ saare butāñ ġhārat-gar-e-īmān-o-dīñek vo kāfir sanam nām-e-ḳhudā kyā chiiz haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جس نے دل میرا دیا دام محبت میں پھنساوہ نہیں معلوم مج کو ناصحا کیا چیز ہےjis ne dil merā diyā dām-e-mohabbat meñ phañsāvo nahīñ mālūm muj ko nāsehā kyā chiiz haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar