شیخ نے ناقوس کے سر میں جو خود ہی تان لی
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 5 sher · Roman Urdu ke saath
sheḳh ne nāqūs ke sur meñ jo ḳhud hī taan līphir to yāroñ ne bhajan gaane kī khul kar Thaan lī
muddatoñ qaa.im raheñgī ab diloñ meñ garmiyāñmaiñ ne photo le liyā us ne nazar pahchān lī
ro rahe haiñ dost merī laash par be-iḳhtiyārye nahīñ daryāft karte kis ne is kī jaan lī
maiñ to engine kī gale-bāzī kā qaa.il ho gayārah ga.e naġhme hudī-ḳhvānoñ ke aisī taan lī
hazrat-e-'akbar' ke istiqlāl kā huuñ mo'tarifta-ba-marg us par rahe qaa.im jo dil meñ Thaan lī