رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کہتے تو ہو تم سب کہ بت غالیہ مو آئے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath

kahte to ho tum sab ki but-e-ġhāliyā-mū aa.eyak martaba ghabrā ke kaho koī ki vo aa.e
huuñ kashmakash-e-naz.a meñ haañ jazb-e-mohabbatkuchh kah na sakūñ par vo mire pūchhne ko aa.e
hai sā.iqa o sho.ala o sīmāb kā aalamaanā hī samajh meñ mirī aatā nahīñ go aa.e
zāhir hai ki ghabrā ke na bhāgeñge nakīrainhaañ muñh se magar bāda-e-doshīnā kī bū aa.e
jallād se Darte haiñ na vaa.iz se jhagaḌteham samjhe hue haiñ use jis bhes meñ jo aa.e
haañ ahl-e-talab kaun sune tāna-e-nā-yāfatdekhā ki vo miltā nahīñ apne hī ko kho aa.e
apnā nahīñ ye sheva ki ārām se baiTheñus dar pe nahīñ baar to ka.abe hī ko ho aa.e
kī ham-nafasoñ ne asar-e-giryā meñ taqrīrachchhe rahe aap is se magar mujh ko Dubo aa.e
us anjuman-e-nāz kī kyā baat hai 'ġhālib'ham bhī ga.e vaañ aur tirī taqdīr ko ro aa.e