koī din gar zindagānī aur haiapne jī meñ ham ne Thānī aur hai
ātish-e-dozaḳh meñ ye garmī kahāñsoz-e-ġham-hā-e-nihānī aur hai
bār-hā dekhī haiñ un kī ranjisheñpar kuchh ab ke sargirānī aur hai
de ke ḳhat muñh dekhtā hai nāma-barkuchh to paiġhām-e-zabānī aur hai
ho chukīñ 'ġhālib' balā.eñ sab tamāmek marg-e-nā-gahānī aur hai