نکتہ چیں ہے غم دل اس کو سنائے نہ بنے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunā.e na banekyā bane baat jahāñ baat banā.e na bane
maiñ bulātā to huuñ us ko magar ai jazba-e-dilus pe ban jaa.e kuchh aisī ki bin aa.e na bane
khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhuul na jaa.ekaash yuuñ bhī ho ki bin mere satā.e na bane
ġhair phirtā hai liye yuuñ tire ḳhat ko ki agarkoī pūchhe ki ye kyā hai to chhupā.e na bane
is nazākat kā burā ho vo bhale haiñ to kyāhaath aaveñ to unheñ haath lagā.e na bane
kah sake kaun ki ye jalvagarī kis kī haiparda chhoḌā hai vo us ne ki uThā.e na bane
maut kī raah na dekhūñ ki bin aa.e na rahetum ko chāhūñ ki na aao to bulā.e na bane
bojh vo sar se girā hai ki uThā.e na uThekaam vo aan paḌā hai ki banā.e na bane
ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib'ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane