دل سے خیال دوست بھلایا نہ جائے گا
Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 11 sher · Roman Urdu ke saath
dil se ḳhayāl-e-dost bhulāyā na jā.egāsiine meñ daaġh hai ki miTāyā na jā.egā
tum ko hazār sharm sahī mujh ko laakh zabtulfat vo raaz hai ki chhupāyā na jā.egā
ai dil razā-e-ġhair hai shart-e-razā-e-dostzinhār bār-e-ishq uThāyā na jā.egā
dekhī haiñ aisī un kī bahut mehrbāniyāñab ham se muñh meñ maut ke jaayā na jā.egā
mai tund o zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm tañgsaaqī se jaam bhar ke pilāyā na jā.egā
raazī haiñ ham ki dost se ho dushmanī magardushman ko ham se dost banāyā na jā.egā
kyuuñ chheḌte ho zikr na milne kā raat kepūchheñge ham sabab to batāyā na jā.egā
bigḌeñ na baat baat pe kyuuñ jānte haiñ voham vo nahīñ ki ham ko manāyā na jā.egā
milnā hai aap se to nahīñ hasr ġhair parkis kis se iḳhtilāt baḌhāyā na jā.egā
maqsūd apnā kuchh na khulā lekin is qadarya.anī vo DhūñDte haiñ jo paayā na jā.egā
jhagḌoñ meñ ahl-e-dīñ ke na 'hālī' paḌeñ bas aapqissa huzūr se ye chukāyā na jā.egā