رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل سوز سے خالی ہے نگہ پاک نہیں ہے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

dil soz se ḳhālī hai nigah paak nahīñ haiphir is meñ ajab kyā ki tū bebāk nahīñ hai
hai zauq-e-tajallī bhī isī ḳhaak meñ pinhāñġhāfil tū nirā sāhib-e-idrāk nahīñ hai
vo aañkh ki hai surma-e-afrañg se raushanpurkār o suḳhan-sāz hai namnāk nahīñ hai
kyā suufī o mullā ko ḳhabar mere junūñ kīun kā sar-e-dāman bhī abhī chaak nahīñ hai
kab tak rahe mahkūmi-e-anjum meñ mirī ḳhaakyā maiñ nahīñ yā gardish-e-aflāk nahīñ hai
bijlī huuñ nazar koh o bayābāñ pe hai merīmere liye shāyāñ ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ hai
aalam hai faqat momin-e-jāñ-bāz kī mīrāsmomin nahīñ jo sāhib-e-laulāk nahīñ hai