ايک نوجوان کے نام
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Tere Sofe Hain Afarangi, Tere Qaleen Hain IraniLahoo Mujh Ko Rulati Hai Jawanon Ki Tan Asani
Amarat Kya, Shikoh-e-Khusrawi Bhi Ho To Kya HasilNa Zor-e-Haidari Tujh Mein, Na Istaghna-e-Salmani
Na Dhoond Iss Cheez Ko Tezeeb-e-Hazir Ki Tajali MeinKe Paya Man Ne Istaghna Mein Meeraj-e-Musalmani
Auqabi Rooh Jab Baidar Hoti Hai Jawanon MeinNazar Ati Hai Iss Ko Apni Manzil Asmanon Mein
Na Ho Naumeed, Naumeedi Zawal-e-Ilm-o-Irfan HaiUmeed-e-Mard-e-Momin Hai Khuda Ke Raazdanon Mein
Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad ParTu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein