Kaha Darkht Ne Ek Roz Murgh-e-SehraSitam Pe Gham Kada-e-Rang-o-Bu Ki Hai Bunyad
Khuda Mujhe Bhi Agar Baal-o-Par Atta KartaShugufta Aur Bhi Hota Ye Alam-e-Aejad
Diya Jawab Use Khoob Murgh-e-Sehra NeGhazab Hai, Dad Ko Samjha Huwa Hai Tu Bedad!
Jahan Mein Lazzat-e-Parwaz Haq Nahin Uss KaWujood Jis Ka Nahin Jazb-e-Khak Se Azad