Hum Ko To Mayassar Nahin Mitti Ka Diya BhiGhar Peer Ka Bijli Ke Charaghon Se Hai Roshan
Shehri Ho, Dahati Ho, Musalman Hai SadaManind-e-Poojte Hain Kaabe Ke Barhman
Nazrana Nahin, Sood Hai Peeran-e-Haram KaHar Kharqa-e-Saaloos Ke Andar Hai Mahajan
Meeras Mein Ayi Hai Inhain Masnad-e-IrshadZaghon Ke Tasarruf Mein Auqabon Ke Nasheman!