بچے کي د عا
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna MeriZindagi Shamma Ki Surat Ho Khudaya Meri
Door Dunya Ka Mere Dam Se Andhera Ho JayeHar Jagha Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaye
Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki ZeenatJis Tarha Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat
Zindagi Ho Meri Parwane Ki Surat Ya RABIlm Ki Shamma Se Ho Mujh ko Mohabbat Ya RAB!
Ho Mera Kaam Garibon Ki Himayat KarnaDardmando Se Zaifon Se Mohabbat Karna
Mere ALLAH Burai Se Bachana MujhkoNaik Jo Rah Ho, Ussi Reh Pe Chalana Mujhko