نہ آتے ، ہميں اس ميں تکرار کيا تھي
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Na Ate, Humain Iss Mein Takrar Ka ThiMagar Wada Karte Huwe Aar Kya Thi
Tumhare Payami Ne Sub Raaz KholaKhata Iss Mein Bande Ki Sarkar Kya Thi
Bhari Bazm Mein Apne Ashiq Ko TaraTeri Ankh Masti Mein Hushyar Kya Thi!
Tammal To Tha Un Ko Ane Mein QasidMagar Ye Bata Tarz-e-Inkar Kya Thi
Khinche Khud-Ba-Khud Janib-e-Toor Musa (A.S.)Kashish Teri Ae Shauq-e-Didar Kya Thi !
Kahin Zikr Rehta Hai Iqbal TeraFasoon Tha Koi, Teri Guftar Kya Thi