کيا کہوں اپنے چمن سے ميں جدا کيونکر ہوا
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath
Kya Kahun Apne Chaman Se Main Juda Kyunkar HuwaAur Aseer-e-Halqa-e-Daam-e-Hawa Kyunkar Huwa
Jaye Hairat Hai Bura Sare Zamane Ka Hun MeinMujh Ko Ye Khilaat Sharafat Ka Atta Kyunkar Huwa
Kuch Dekhne Dikhane Ka Tha Taqaza Toor ParKya Khabar Hai Tujh Ko Ae Dil Faisala Kyunkar Huwa
Hai Talab Be-Mudda Hone Ki Bhi Ek MuddaMurgh-e-Dil Dam-e-Tamanna Se Raha Kyunkar Huwa
Dekhne Wale Yahan Bhi Dekh Lyte Hain TujhePhir Ye Wada Hashar Ka Sabr Azma Kyunkar Huwa
Husn-e-Kamil Hi Na Ho Iss Be-Hijabi Ka SababWoh Jo Tha Pardon Mein Pinhan, Khudnuma Kyunkar Huwa
Mout Ka Nuskha Abhi Baqi Hai Ae Dard-e-Faraaq!Charahgar Diwana Hai, Main La-Dawa Kyunkar Huwa
Tu Ne Dekha Hai Kabhi Ae Didah-e-Ibrat Ke GulHo Ke Paida Khak Se Rangeen Qaba Kyunkar Huwa
Pursish-e-Amaal Se Maqsad Tha Ruswayi MeriWarna Zahir Tha Sabhi Kuch, Kya Huwa, Kyunkar Huwa
Mere Mitne Ka Tamasha Dekhne Ki Cheez ThiKya Bataun Un Ka Mera Samna Kyunkar Huwa