سختياں کرتا ہوں دل پر ، غير سے غافل ہوں ميں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Sakhtiyan Karta Hun Dil Par, Ghair Se Ghafil Hun MainHaye Kya Achi Kehi Zalim Hun Main, Jahil Hun Main
Main Jabhi Tak Tha Ke Teri Jalwa Pairayi Na ThiJo Namood-e-Haq Se Mit Jata Hai Woh Batil Hun Main
Ilm Ke Darya Se Nikle Ghota Zan Gohar BadastWaye Mehroomi! Khazaf Chain-e-Lab Sahil Hun Main
Hai Meri Dillat Hi Kuch Meri Sharafat Ki DaleelJis Ki Ghaflat Ko Malak Rote Hain Woh Ghafil Hun Mein
Bazm-e-Hasti ! Apni Araaish Pe Tu Nazaan Na HoTu To Ek Tasveer Hai Mehfil Ki Aur Mehfil Hun Main
Dhoonta Phirta Hun Ae Iqbal Apne App KoApp Hi Goya Musafir, App Hi Manzil Hun Mein