رمزِ زندگیRamz E Zindagi

پریشاں ہو کے میری خاک آخر دل نہ بن جائے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

pareshāñ ho ke merī ḳhaak āḳhir dil na ban jaa.ejo mushkil ab hai yā rab phir vahī mushkil na ban jaa.e
na kar deñ mujh ko majbūr-e-navā firdaus meñ hūreñmirā soz-e-darūñ phir garmi-e-mahfil na ban jaa.e
kabhī chhoḌī huī manzil bhī yaad aatī hai raahī kokhaTak sī hai jo siine meñ ġham-e-manzil na ban jaa.e
banāyā ishq ne dariyā-e-nā-paidā-karāñ mujh koye merī ḳhud-nigah-dārī mirā sāhil na ban jaa.e
kahīñ is ālam-e-be-rañg-o-bū meñ bhī talab merīvahī afsāna-e-dumbāla-e-mahmil na ban jaa.e
urūj-e-ādam-e-ḳhākī se anjum sahme jaate haiñki ye TuuTā huā taarā mah-e-kāmil na ban jaa.e