رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ايک مکالمہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Ek Murgh-e-Sara Ne Ye Kaha Murhg-e-Hawa SePar-Dar Agar Tu Hai To Kya Main Nahin Par-Dar!
Gar Tu Hai Hai Hawa Geer To Hun Main Bhi Hawa GeerAzad Agar Tu Hai, Nahin Main Bhi Griftar
Parwaz, Khasusiat-e-Har Sahib-e-Par HaiKyun Rehte Hain Murghan-e-Hawa Maeel-e-Pindar?
Majrooh-e-Hamiyat Jo Huwi Murgh-e-Hawa KYun Kehne Laga Sun Ke Ye Guftar-e-Dil Aazar
Kuch Shak Nahin Parwaz Mein Azad Hai Tu BhiHad Hai Teri Parwaz Ki Lekin Sirr-e-Diwar
Waqif Nahin Tu Himmat-e-Murghaan-e-Hawa SeTu Khak Nasheman, Unhain Gardoon Se Sarokar
Tu Murgh-e-Sarai, Khaurish Az Khak BajooyiMa Dar Sadad-e-Dana Ba Anjum Zada Minqar