رمزِ زندگیRamz E Zindagi

پھولوں کي شہز ادي

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath

Kali Se Keh Rahi Thi Aik Din Shabnam Gulisan MeinRahi Main Aik Muddat Ghuncha Haye Bagh-e-Rizwan Mein
Tumhare Gulistan Ki Kaifiat Sarshar Hai AesiNigah Firdous Dar Daman Hai Meri Chashm-e-Heeran Mein
Suna Hai Koi Shehzadi Hai Hakim Iss Gulistan KiKe Jis Ke Naqsh-e-Pa Se Phool Hon Paida Byaban Mein
Kabhi Sath Apne Uss Ke Astan Tak Mujh Ko Tu Le ChalChupa Kar Apne Daman Mein Barang-e-Mouj-e-Bu Le Chal
Kali Boli, Sareer Ara Humari Hai Woh ShehzadiDarkhashan Jis Ki Thoukar Se Hon Pathar  Bhi Nageen Ban Kar
Magar Fitrat Teri Uftanda Aur Begam Ki Shan UnchiNahin Mumkin Ke Tu Pohenche Humari Hum-Nasheen Ban Kar
Pohench Sakti Hai Tu Lekin Humari Shahzadi TakKisi Dukh Dard Ke Mare Ka Ashak-e-Atisheen Ban Kar
Nazar Uss Ki Payam-e-Eid Hai Ahl-e-Muhram KoBana Deti Hai Gohar Ghamzadon Ke Ashak-e-Peham Ko