رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مذ ہب

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Taleem-e-Peer-e-Falsafa-e-Maghrabi Hai YeNadan Hain Jin Ko Hasti-e-Ghaeeb Ki Hai Talash
Paikar Agar Nazar Se Na Ho Ashna To KyaHai Sheikh Bhi Misal-e-Barhman Sanam Tarash
Mehsoos Par Bina Hai Uloom-e-Jadeed KiIss Dour Mein Hai Sheesha Aqaeed Ka Pash Pash
Mazhab Hai Jis Ka Naam, Woh Hai Ek Junoon-e-KhamHai Jis Se Adami Ke Takhiyul Ko Intaash
Kehta Magar Hai Falsafa-e-Zindagi Kuch AurMujh Par Liya Ye Murshid-e-Kamil Ne Raaz Faash
“Bahir Kamal And Ke Ashuftagi Khush AstHar Chand Aqal-e-Kul Shuda Aee Be-Junoon Mabash”