Zinda Quwwat Thi Jahan Mein Yehi Touheed KabhiAaj Kya Hai, Faqat Ek Masla-e-Ilm-e-Kalaam
Roshan Iss Zou Se Agar Zulmat-e-Kirdar Na HoKhud Musalman Se Hai Poshida Musalman Ka Maqam
Main Ne Ae Meer-e-Sipah! Teri Sipah Dekhi Hai‘QUL HU WALLAH’ Ki Shamsheer Se Khali Hain Nayam
Aah, Iss Raaz Se Waqif Hai Na Mullah, Na FaqeehWahdat Afkar Ki Be-Wahdat-e-Kirdar Hai Kham
Qoum Kya Cheez Hai, Qoumon Ki Imamat Kya HaiIss Ko Kya Samjhain Ye Bechare Do Rakat Ke Imam!