Wohi Hai Banda-e-Hur Jis Ki Zarb Hai KariNa Woh Ke Harb Hai Jis Ki Tamam Ayyari
Azal Se Fitrat-e-Ahrar Mein Hain Dosh Ba-DoshQalandari-o-Qaba Poshi-o-Kulahdari
Zamana Le Ke Jise Aftab Karta HaiUnhi Ki Khak Mein Poshida Hai Woh Chingari
Wujood Inhi Tawaf-e-Butan Se Hai AzadYe Tere Momin-o-Kafir, Tamam Zunnari!