زمانہ حاضر کا انسان
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
‘Ishq Na-Paid-o-Khird Megazardish Soorat-e-Maar’Aqal Ko Taba-e-Farman-e-Nazar Kar Na Saka
Dhoondne Wala Sitaron Ki Guzrgahon KaApne Afkar Ki Dunya Mein Safar Kar Na Saka
Apni Hikmat Ke Kham-o-Paich Mein Uljha AesaAj Tak Faisla-e-Nafa-o-Zarar Kar Na Saka
Jis Ne Suraj Ki Shuaon Ko Giraftar KiyaZindagi Ki Shab-e-Tareek Sehar Kar Na Saka !