Jis Banda-e-Haq Been Ki Khudi Ho Gyi BaidarShamsheer Ki Manind Hai Buranda-o-Barraq
Uss Ki Nigah-e-Shoukh Pe Hoti Hai NamoodarHar Zarre Mein Poshida Hai Jo Quwwat-e-Ashraq
Uss Mard-e-Khuda Se Koi Nisbat Nahin Tujh KoTu Banda-e-Afaq Hai, Woh Sahib-e-Afaq
Tujh Mein Abhi Paida Nahin Sahil Ki Talab BhiWoh Paki-e-Fitrat Se Huwa Mehram-e-Aamaq