Qoumon Ki Rawish Se Mujhe Hota Hai Ye MaloomBe Sood Nahin Roos Ki Ye Garmi-e-Raftar
Andesha Huwa Shaukhi-e-Afkaar Pe MajboorFarsooda Tareeqon Se Zamana Huwa Bezar
Insaan Ki Hawas Ne Jinhain Rakha Tha Chupa KarKhule Nazar Aate Hain Batadreej Woh Asrar
Quran Mein Ho Ghota-Zan Ae Mard-e-MusalmanAllah Kare Tujh Ko Atta Jiddat-e-Kirdar
Jo Harf-e-‘ Qulil-Affo ’ Mein Poshida Hai Ab TakIss Dour Mein Shaid Woh Haqiqat Ho Namoodar!