رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مسوليني

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Kiya Zamane Se Nirala Hai Missulini Ka Jurm!Be-Mehal Bighra Hai Masooman-e-Yourap Ka Mazaj
Aal Seezar Chob-e-Ne Ki Aabyarimein RaheAur Tum Dunya Ke Banjar Bhi Na Choro Be Kharaaj!
Tum Ne Loote Ne-Nawa Sehra Nasheenon Ke KhayamTum Ne Looti Kisht-e-Dehqan, Tum Ne Loote Takht-o-Taaj
Parda-e-Tehzeeb Mein Gharat Gari, Adam GariKal Rawa Rakhi Thi Tum Ne, Main Rawa Rakhta Hun Aaj !