Kiya Zamane Se Nirala Hai Missulini Ka Jurm!Be-Mehal Bighra Hai Masooman-e-Yourap Ka Mazaj
Main Phatakta Hun To Chalni Ko Bura Lagta Hai KyunHain Sabhi Tehzeeb Ke Auzar ! Tu Chhalni, Main Chhaj
Mere Soda’ay Mulookiat Ko Thukrate Ho TumTum Ne Kya Torhe Nahin Kamzor Qoumon Ke Zujaj?
Ye Ajaeb Shaubde Kis Ki Mulookiat Ke HainRajdahani Hai, Magar Baqi Na Raja Hai Na Raaj
Aal Seezar Chob-e-Ne Ki Aabyarimein RaheAur Tum Dunya Ke Banjar Bhi Na Choro Be Kharaaj!
Tum Ne Loote Ne-Nawa Sehra Nasheenon Ke KhayamTum Ne Looti Kisht-e-Dehqan, Tum Ne Loote Takht-o-Taaj
Parda-e-Tehzeeb Mein Gharat Gari, Adam GariKal Rawa Rakhi Thi Tum Ne, Main Rawa Rakhta Hun Aaj !