Iqbal Ko Shak Iss Ki Sharafat Mein Nahin HaiHar Millat-e-Mazloom Ka Yourap Hai Khareedar
Ye Peer-e-Kaleesa Ki Karamat Hai Ke Uss NeBijli Ke Charaghon Se Munawwar Kiye Afkar
Jalta Hai Magar Sham-o-Falasteen Pe Mera DilTadbeer Se Khulta Nahin Ye Uqda-e-Dushwar
Turkaan-e-‘Jafa Paisha’ Ke Panje Se Nikl KarBechare Hain Tehzeeb Ke Phande Mein Giraftar!