رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل سوز سے خالي ہے ، نگہ پاک نہيں ہے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Dil Souz Se Khali Hai, Nigah Paak Nahin HaiPhir Iss Mein Ajab Kya Ke Tu Be-Baak Nahin Hai
Hai Zauq-E-Tajali Bhi Issi Khaak Mein PinhanGhafil! Tu Nira Sahib-E-Adraak Nahin Hai
Who Ankh Ke Hai Surma’ay Afrang Se RoshanPurkaar-O-Sukhan Saaz Hai, Nam Naak Nahin Hai
Kya Sufi-O-Mullah Ko Khabar Mere Junoon KiUn Ka Sar-E-Daman Bhi Abhi Chaak Nahin Hai
Kab Tak Rahe Mehkoomi-E-Anjum Mein Meri KhaakYa Main Nahin, Ya Gardish-E-Aflaak Nahin Hai
Bijli Hun, Nazar Koh-O-Bayanbaan Pe Hai MeriMere Liye Shayan-E-Khas-O-Khashaak Nahin Hai
Alam Hai Faqat Momin-E-Jaan Baaz Ki MirasMomin Nahin Jo Sahib-E-Loulaak Nahin Hai !