رمزِ زندگیRamz E Zindagi

زمستاني ہوا ميں گرچہ تھي شمشير کي تيزي

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

Zmastani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki TaiziNa Chhoote Mujh Se London Mein Bhi Adab-E-Sehar Khaizi
Kahin Sarmaya’ay Mehfil Thi Meri Garam GuftariKahin Sub Ko Preshan Kar Gyi Meri Kam Amaizi
Zamam-E-Kaar Agar Mazdoor Ke Hathon Mein Ho Phir Kya!Tareeq-E-Kohkan Mein Bhi Wohi Heelay Hain Parvaizi
Jalal-E-Padshahi Ho K Jamhoori Tamasha HoJuda Ho Deen Siasat Se To Reh Jati Hai Changaizi
Sawad-E-Ruma-Tul-Kubra Mein Dilli Yaad Ati HaiWohi Ibrat, Wohi Azmat, Wohi Shaan-E-Dil-Awaizi