رمزِ زندگیRamz E Zindagi

خردمندوں سے کيا پوچھوں کہ ميري ابتدا کيا ہے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Khudi Ko Kar Buland Itna Ke Har Taqdeer Se PehleKhuda Bande Se Khud Puche, Bata Teri Raza Kya Hai
Maqam-e-Guftugu Kya Hai Agar Main Keemiya-Gar HunYehi Souz-e-Nafas Hai, Aur Meri Keemiya Kya Hai!
Nazar Ayeen Mujhe Taqdeer Ki Gehraiyan Uss MeinNa Puch Ae Hum-Nasheen Mujh Se Woh Chashm-e-Surma Sa Kya Hai
Agar Hota Woh Majzoob*-e-Farangi Iss Zamane MeinTo Iqbal Uss Ko Samjhata Maqam-e-Kibriya Kya Hai
Nawa-e-Subahgahi Ne Jigar Khoon Kar Diya MeraKhudaya Jis Khata Ki Ye Saza Hai, Woh Khata Kya Hai!