دنیا کے ستم یاد نہ اپنی ہی وفا یاد
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 9 sher · Roman Urdu ke saath
duniyā ke sitam yaad na apnī hī vafā yaadab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad
maiñ shikva ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaadshāyad ki mire bhūlne vaale ne kiyā yaad
chheḌā thā jise pahle-pahal terī nazar neab tak hai vo ik naġhma-e-be-sāz-o-sadā yaad
jab koī hasīñ hotā hai sargarm-e-navāzishus vaqt vo kuchh aur bhī aate haiñ sivā yaad
kyā jāniye kyā ho gayā arbāb-e-junūñ komarne kī adā yaad na jiine kī adā yaad
muddat huī ik hādsa-e-ishq ko lekinab tak hai tire dil ke dhaḌakne kī sadā yaad
haañ haañ tujhe kyā kaam mirī shiddat-e-ġham sehaañ haañ nahīñ mujh ko tire dāman kī havā yaad
maiñ tark-e-rah-o-rasm-e-junūñ kar hī chukā thākyuuñ aa ga.ī aise meñ tirī laġhzish-e-pā yaad
kyā lutf ki maiñ apnā pata aap batā.ūñkiije koī bhūlī huī ḳhaas apnī adā yaad