آئے ہیں میر کافر ہو کر خدا کے گھر میں
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath
aa.e haiñ 'mīr' kāfir ho kar ḳhudā ke ghar meñpeshānī par hai qashqa zunnār hai kamar meñ
nāzuk badan hai kitnā vo shoḳh-chashm dilbarjaan us ke tan ke aage aatī nahīñ nazar meñ
siine meñ tiir us ke TuuTe haiñ be-nihāyatsurāḳh paḌ ga.e haiñ saare mire jigar meñ
ā.inda shaam ko ham royā kuḌhā kareñgemutlaq asar na dekhā nālīdan-e-sahar meñ
be-sudh paḌā rahūñ huuñ us mast-e-nāz bin maiñaatā hai hosh mujh ko ab to pahr pahr meñ
sīrat se guftugū hai kyā mo'tabar hai sūrathai ek sūkhī lakḌī jo bū na ho agar meñ
ham-sāya-e-muġhāñ meñ muddat se huuñ chunāñcheik shīra-ḳhāne kī hai dīvār mere ghar meñ
ab sub.h o shaam shāyad girye pe rañg aaverahtā hai kuchh jhamaktā ḳhūnāb chashm-e-tar meñ
aalam meñ āb-o-gil ke kyūñkar nibāh hogāasbāb gir paḌā hai saarā mirā safar meñ