رمزِ زندگیRamz E Zindagi

چھپا ہوں میں صدائے بانسلی میں

Ghazal · Wali Dakani · ولی دکنی · 5 sher · Roman Urdu ke saath

chhupā huuñ maiñ sadā-e-bāñsulī meñki tā jā.ūñ parī-rū kī galī meñ
na thī tāqat mujhe aane kī lekinba-zor-e-āh pahuñchā tujh galī meñ
ayaañ hai rañg kī shoḳhī suuñ ai shoḳhbadan terā qabā-e-sañdalī meñ
jo hai tere dahan meñ rañg o ḳhūbīkahāñ ye rañg ye ḳhūbī kalī meñ
kiyā jiyūñ lafz meñ ma.anī sirījanmaqām apnā dil-o-jān-e-'valī' meñ