شانے کی ہر زباں سے سنے کوئی لاف زلف
Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 7 sher · Roman Urdu ke saath
shāne kī har zabāñ se sune koī lāf-e-zulfchīre hai siina raat ko ye mū-shigāf-e-zulf
jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyāhis tarah is sanam ke hai ruḳh par ġhilāf-e-zulf
barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yārshāmat-zada ne kyā kiyā aisā ḳhilāf-e-zulf
matlab na kufr o diiñ se na dair o haram se kaamkartā hai dil tavāf-e-izār o tavāf-e-zulf
nāf-e-ġhazāl-e-chīñ hai ki hai nāfa-e-tatārkyūñkar kahūñ ki hai girah-e-zulf nāf-e-zulf
aapas meñ aaj dast-o-garebāñ hai roz o shabai mehr-vash zarī kā nahīñ mū-e-bāf-e-zulf
kahtā hai koī jiim koī laam zulf kokahtā huuñ maiñ 'zafar' ki musattah hai kāf-e-zulf