مزہ ہے اسپیچ کا ڈنر میں خبر یہ چھپتی ہے پانیر میںفلک کی گردش کے ساتھ ہی ساتھ کام یاروں کا چل رہا ہےmaza hai spēch kā dinner meñ ḳhabar ye chhaptī hai pionēr meñfalak kī gardish ke saath hī saath kaam yāroñ kā chal rahā haiDostiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
خوشی ہے سب کو کہ آپریشن میں خوب نشتر یہ چل رہا ہےکسی کو اس کی خبر نہیں ہے مریض کا دم نکل رہا ہےḳhushī hai sab ko ki operation meñ ḳhuub nishtar ye chal rahā haikisī ko is kī ḳhabar nahīñ hai marīz kā dam nikal rahā haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
فنا اسی رنگ پر ہے قائم فلک وہی چال چل رہا ہےشکستہ و منتشر ہے وہ کل جو آج سانچے میں ڈھل رہا ہےfanā isī rañg par hai qaa.im falak vahī chaal chal rahā haishikasta o muntashir hai vo kal jo aaj sāñche meñ Dhal rahā haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
یہ دیکھتے ہو جو کاسۂ سر غرور غفلت سے کل تھا مملویہی بدن ناز سے پلا تھا جو آج مٹی میں گل رہا ہےye dekhte ho jo kāsa-e-sar ġhurūr-e-ġhaflat se kal thā mamlūyahī badan naaz se palā thā jo aaj miTTī meñ gal rahā haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
سمجھ ہو جس کی بلیغ سمجھے نظر ہو جس کی وسیع دیکھےابھی یہاں خاک بھی اڑے گی جہاں یہ قلزم ابل رہا ہےsamajh ho jis kī balīġh samjhe nazar ho jis kī vasī.a dekheabhī yahāñ ḳhaak bhī uḌegī jahāñ ye qulzum ubal rahā haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi