فنا اسی رنگ پر ہے قائم فلک وہی چال چل رہا ہےشکستہ و منتشر ہے وہ کل جو آج سانچے میں ڈھل رہا ہےfanā isī rañg par hai qaa.im falak vahī chaal chal rahā haishikasta o muntashir hai vo kal jo aaj sāñche meñ Dhal rahā haiMautاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
خوشی ہے سب کو کہ آپریشن میں خوب نشتر یہ چل رہا ہےکسی کو اس کی خبر نہیں ہے مریض کا دم نکل رہا ہےḳhushī hai sab ko ki operation meñ ḳhuub nishtar ye chal rahā haikisī ko is kī ḳhabar nahīñ hai marīz kā dam nikal rahā haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
یہ دیکھتے ہو جو کاسۂ سر غرور غفلت سے کل تھا مملویہی بدن ناز سے پلا تھا جو آج مٹی میں گل رہا ہےye dekhte ho jo kāsa-e-sar ġhurūr-e-ġhaflat se kal thā mamlūyahī badan naaz se palā thā jo aaj miTTī meñ gal rahā haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
سمجھ ہو جس کی بلیغ سمجھے نظر ہو جس کی وسیع دیکھےابھی یہاں خاک بھی اڑے گی جہاں یہ قلزم ابل رہا ہےsamajh ho jis kī balīġh samjhe nazar ho jis kī vasī.a dekheabhī yahāñ ḳhaak bhī uḌegī jahāñ ye qulzum ubal rahā haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
کہاں کا شرقی کہاں کا غربی تمام دکھ سکھ ہے یہ مساوییہاں بھی اک بامراد خوش ہے وہاں بھی اک غم سے جل رہا ہےkahāñ kā sharqī kahāñ kā ġharbī tamām dukh sukh hai ye masāvīyahāñ bhī ik bā-murād ḳhush hai vahāñ bhī ik ġham se jal rahā haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
کیا بد گماں ہے مجھ سے کہ آئینے میں مرےطوطی کا عکس سمجھے ہے زنگار دیکھ کرkyā bad-gumāñ hai mujh se ki ā.īne meñ miretuutī kā aks samjhe hai zañgār dekh karمرزا غالبMirza Ghalib
نہ کہہ کہ صبر میں پنہاں ہے چارئہ غم دوستنہ کہہ کہ صبر معمائے موت کی ہے کشودNa Keh Ke Sabr Mein Pinhan Hai Chara’ay Gham-e-DostNa Keh Ke Sabr Mu’amaye Mout Ki Hai Kushoodعلامہ اقبالAllama Iqbal
یہ مجھ کو وصل کی شب ہائے موت کیوں آئیحنا لگا کے جو آئے تھے ہاتھ مل کے چلےریاض خیرآبادیRiyaz Khairabadi