کیا کہا پھر تو کہو ہم نہیں سنتے تیرینہیں سنتے تو ہم ایسوں کو سناتے بھی نہیںkyā kahā phir to kaho ham nahīñ sunte terīnahīñ sunte to ham aisoñ ko sunāte bhī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
عذر آنے میں بھی ہے اور بلاتے بھی نہیںباعث ترک ملاقات بتاتے بھی نہیںuzr aane meñ bhī hai aur bulāte bhī nahīñbā.is-e-tark-e-mulāqāt batāte bhī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
منتظر ہیں دم رخصت کہ یہ مر جائے تو جائیںپھر یہ احسان کہ ہم چھوڑ کے جاتے بھی نہیںmuntazir haiñ dam-e-ruḳhsat ki ye mar jaa.e to jaa.eñphir ye ehsān ki ham chhoḌ ke jaate bhī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
سر اٹھاؤ تو سہی آنکھ ملاؤ تو سہینشۂ مے بھی نہیں نیند کے ماتے بھی نہیںsar uThāo to sahī aañkh milāo to sahīnashsha-e-mai bhī nahīñ niiñd ke maate bhī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
خوب پردہ ہے کہ چلمن سے لگے بیٹھے ہیںصاف چھپتے بھی نہیں سامنے آتے بھی نہیںḳhuub parda hai ki chilman se lage baiThe haiñsaaf chhupte bhī nahīñ sāmne aate bhī nahīñداغؔ دہلویDagh Dehlvi