رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عذر آنے میں بھی ہے اور بلاتے بھی نہیں

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 9 sher · Roman Urdu ke saath

uzr aane meñ bhī hai aur bulāte bhī nahīñbā.is-e-tark-e-mulāqāt batāte bhī nahīñ
muntazir haiñ dam-e-ruḳhsat ki ye mar jaa.e to jaa.eñphir ye ehsān ki ham chhoḌ ke jaate bhī nahīñ
sar uThāo to sahī aañkh milāo to sahīnashsha-e-mai bhī nahīñ niiñd ke maate bhī nahīñ
kyā kahā phir to kaho ham nahīñ sunte terīnahīñ sunte to ham aisoñ ko sunāte bhī nahīñ
ḳhuub parda hai ki chilman se lage baiThe haiñsaaf chhupte bhī nahīñ sāmne aate bhī nahīñ
mujh se lāġhar tirī āñkhoñ meñ khaTakte to rahetujh se nāzuk mirī nazroñ meñ samāte bhī nahīñ
dekhte hī mujhe mahfil meñ ye irshād huākaun baiThā hai use log uThāte bhī nahīñ
ho chukā qat.a ta.alluq to jafā.eñ kyuuñ hoñjin ko matlab nahīñ rahtā vo satāte bhī nahīñ
ziist se tañg ho ai 'dāġh' to jiite kyuuñ hojaan pyārī bhī nahīñ jaan se jaate bhī nahīñ