نہ حشر و نشر کا قائل نہ کیش و ملت کاخدا کے واسطے ایسے کی پھر قسم کیا ہےna hashr-o-nashr kā qaa.el na kesh o millat kāḳhudā ke vāste aise kī phir qasam kyā haiKhudaمرزا غالبMirza Ghalib
بہت سہی غم گیتی شراب کم کیا ہےغلام ساقیٔ کوثر ہوں مجھ کو غم کیا ہےbahut sahī ġham-e-gītī sharāb kam kyā haiġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ mujh ko ġham kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib
تمہاری طرز و روش جانتے ہیں ہم کیا ہےرقیب پر ہے اگر لطف تو ستم کیا ہےtumhārī tarz-o-ravish jānte haiñ ham kyā hairaqīb par hai agar lutf to sitam kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib
سخن میں خامۂ غالب کی آتش افشانییقیں ہے ہم کو بھی لیکن اب اس میں دم کیا ہےsuḳhan meñ ḳhāma-e-ġhālib kī ātish-afshānīyaqīñ hai ham ko bhī lekin ab us meñ dam kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib
کٹے تو شب کہیں کاٹے تو سانپ کہلاوےکوئی بتاؤ کہ وہ زلف خم بہ خم کیا ہےkaTe to shab kaheñ kaaTe to saañp kahlāvekoī batāo ki vo zulf-e-ḳham-ba-ḳham kyā haiمرزا غالبMirza Ghalib
خدا کے عاشق تو ہیں ہزاروں بنوں میں پھرتے ہیں مارے مارےمیں اس کا بندہ بنوں گا جس کو خدا کے بندوں سے پیار ہوگاḳhudā ke āshiq to haiñ hazāroñ banoñ meñ phirte haiñ maare maaremaiñ us kā banda banūñgā jis ko ḳhudā ke bandoñ se pyaar hogāعلامہ اقبالAllama Iqbal
غالب خدا کرے کہ سوار سمند نازدیکھوں علی بہادر عالی گہر کو میں'ġhālib' ḳhudā kare ki savār-e-samand-e-nāzdekhūñ alī bahādur-e-ālī-guhar ko maiñمرزا غالبMirza Ghalib