بات جو دل میں چھپاتے نہیں بنتی حالیسخت مشکل ہے کہ وہ قابل اظہار نہیںbaat jo dil meñ chhupāte nahīñ bantī 'hālī'saḳht mushkil hai ki vo qābil-e-iz.hār nahīñالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
میں تو میں غیر کو مرنے سے اب انکار نہیںاک قیامت ہے ترے ہاتھ میں تلوار نہیںmaiñ to maiñ ġhair ko marne se ab inkār nahīñik qayāmat hai tire haath meñ talvār nahīñالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
کچھ پتا منزل مقصود کا پایا ہم نےجب یہ جانا کہ ہمیں طاقت رفتار نہیںkuchh patā manzil-e-maqsūd kā paayā ham nejab ye jaanā ki hameñ tāqat-e-raftār nahīñالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
چشم بد دور بہت پھرتے ہیں اغیار کے ساتھغیرت عشق سے اب تک وہ خبردار نہیںchashm-e-bad-dūr bahut phirte haiñ aġhyār ke saathġhairat-e-ishq se ab tak vo ḳhabar-dār nahīñالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali
ہو چکا ناز اٹھانے میں ہے گو کام تمامللہ الحمد کہ باہم کوئی تکرار نہیںho chukā naaz uThāne meñ hai go kaam tamāmlillāhil-hamd ki bāham koī takrār nahīñالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali