سبق ملا ہے یہ معراج مصطفی سے مجھےکہ عالم بشریت کی زد میں ہے گردوںsabaq milā hai ye merāj-e-mustafā se mujheki ālam-e-basharīyat kī zad meñ hai gardūñعلامہ اقبالAllama Iqbal
وہ حرف راز کہ مجھ کو سکھا گیا ہے جنوںخدا مجھے نفس جبرئیل دے تو کہوںvo harf-e-rāz ki mujh ko sikhā gayā hai junūñḳhudā mujhe nafas-e-jabra.īl de to kahūñعلامہ اقبالAllama Iqbal
ستارہ کیا مری تقدیر کی خبر دے گاوہ خود فراخی افلاک میں ہے خوار و زبوںsitāra kyā mirī taqdīr kī ḳhabar degāvo ḳhud farāḳhi-e-aflāk meñ hai ḳhvār o zubūñعلامہ اقبالAllama Iqbal
حیات کیا ہے خیال و نظر کی مجذوبیخودی کی موت ہے اندیشہ ہائے گوناں گوںhayāt kyā hai ḳhayāl o nazar kī majzūbīḳhudī kī maut hai andesha-hā-e-gūnā-gūñعلامہ اقبالAllama Iqbal
عجب مزہ ہے مجھے لذت خودی دے کروہ چاہتے ہیں کہ میں اپنے آپ میں نہ رہوںajab maza hai mujhe lazzat-e-ḳhudī de karvo chāhte haiñ ki maiñ apne aap meñ na rahūñعلامہ اقبالAllama Iqbal