مکتبوں میں کہیں رعنائی افکار بھی ہے؟خانقاہوں میں کہیں لذت اسرار بھی ہے؟Maktabon Mein Kahin Raanayi-e-Afkaar Bhi Hai?Khanqahon Mein Kahin Lazzat-e-Asrar Bhi Hai?علامہ اقبالAllama Iqbal
منزل راہرواں دور بھی ، دشوار بھی ہےکوئی اس قافلے میں قافلہ سالار بھی ہے؟Manzil-e-Rahrawan Door Bhi, Dushwar Bhi HaiKoi Iss Qafle Mein Qafla Salaar Bhi Hai?علامہ اقبالAllama Iqbal
بڑھ کے خیبر سے ہے یہ معرکہ دین و وطناس زمانے میں کوئی حیدر کرار بھی ہے؟Barh Ke Khayber Se Hai Ye Maarka-e-Deen-o-WatanIss Zamane Mein Koi Haidar-e-Karar Bhi Hai?علامہ اقبالAllama Iqbal
علم کی حد سے پرے ، بندہ مومن کے لیےلذت شوق بھی ہے ، نعمت دیدار بھی ہےIlm Ki Had Se Pare, Banda-e-Momin Ke LiyeLazzat-e-Shauq Bhi Hai, Naimat-e-Didar Bhi Haiعلامہ اقبالAllama Iqbal
پیر میخانہ یہ کہتا ہے کہ ایوان فرنگ!سست بنیاد بھی ہے ، آئنہ دیوار بھی ہےPeer-e-Maikhana Ye Kehta Hai Ke Aiwan-e-FarangSust Bunyad Bhi Hai, Aaeena Diwar Bhi Hai !علامہ اقبالAllama Iqbal