کہا میں نے قدم بھر پر ہے وہ صورت دکھا آؤکہا منہ پھیر کر اتنا کسی کو درد سر کیا ہوkahā maiñ ne qadam bhar par hai vo sūrat dikhā aaokahā muñh pher kar itnā kisī ko dard-e-sar kyā hoGhamنظم طباطبائیNazm Tabatabai
عبث ہے ناز استغنا پہ کل کی کیا خبر کیا ہوخدا معلوم یہ سامان کیا ہو جائے سر کیا ہوabas hai nāz-e-istiġhnā pe kal kī kyā ḳhabar kyā hoḳhudā ma.alūm ye sāmān kyā ho jaa.e sar kyā hoنظم طباطبائیNazm Tabatabai
یہ آہ بے اثر کیا ہو یہ نخل بے ثمر کیا ہونہ ہو جب درد ہی یارب تو دل کیا ہو جگر کیا ہوye āh-e-be-asar kyā ho ye naḳhl-e-be-samar kyā hona ho jab dard hī yā-rab to dil kyā ho jigar kyā hoنظم طباطبائیNazm Tabatabai
جہاں انسان کھو جاتا ہو خود پھر اس کی محفل میںرسائی کس طرح ہو دخل کیوں کر ہو گزر کیا ہوjahāñ insān kho jaatā ho ḳhud phir us kī mahfil meñrasā.ī kis tarah ho daḳhl kyūñkar ho guzar kyā hoنظم طباطبائیNazm Tabatabai
نہ پوچھوں گا میں یہ بھی جام میں ہے زہر یا امرتتمہارے ہاتھ سے اندیشۂ نفع و ضرر کیا ہوna pūchhūñgā maiñ ye bhī jaam meñ hai zahr yā amrittumhāre haath se andesha-e-naf-o-zarar kyā hoنظم طباطبائیNazm Tabatabai
تو وہ بد خو کہ تحیر کو تماشا جانےغم وہ افسانہ کہ آشفتہ بیانی مانگےtū vo bad-ḳhū ki tahayyur ko tamāshā jaaneġham vo afsāna ki āshufta-bayānī māñgeمرزا غالبMirza Ghalib
اشک کے دانے زمین شعر میں بوتا ہوں میںتو بھی رو اے خاک دلی! داغ کو روتا ہوں میںAshak Ke Dane Zameen-e-Shair Mein Bota Hun MainTu Bhi Ro Ae Khak-e-Dilli! Dagh Ko Rota Hun Mainعلامہ اقبالAllama Iqbal