نامہ بر خط دے کے اس نو خط کو تو نے کیا کہاکیا خطا تجھ سے ہوئی اور وہ خفا کیونکر ہواnāma-bar ḳhat de ke us nau-ḳhat ko tū ne kyā kahākyā ḳhatā tujh se huī aur vo ḳhafā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کیا کہوں دل مائل زلف دوتا کیونکر ہوایہ بھلا چنگا گرفتار بلا کیونکر ہواkyā kahūñ dil mā.il-e-zulf-e-dotā kyūñkar huāye bhalā chañgā giraftār-e-balā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جن کو محراب عبادت ہو خم ابروئے یاران کا کعبے میں کہو سجدہ ادا کیونکر ہواjin ko mehrāb-e-ibādat ho ḳham-e-abrū-e-yārun kā kaabe meñ kaho sajda adā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دیدۂ حیراں ہمارا تھا تمہارے زیر پاہم کو حیرت ہے کہ پیدا نقش پا کیونکر ہواdīda-e-hairāñ hamārā thā tumhāre zer-e-pāham ko hairat hai ki paidā naqsh-e-pā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
خاکساری کیا عجب کھووے اگر دل کا غبارخاک سے دیکھو کہ آئینہ صفا کیونکر ہواḳhāksārī kyā ajab khove agar dil kā ġhubārḳhaak se dekho ki ā.īna safā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar