دیوانے تیرے دشت میں رکھیں گے جب قدممجنوں بھی لے گا ان کے قدم ایسے شخص ہیںdīvāne tere dasht meñ rakkheñge jab qadammajnūñ bhī legā un ke qadam aise shaḳhs haiñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
واقف ہیں ہم کہ حضرت غم ایسے شخص ہیںاور پھر ہم ان کے یار ہیں ہم ایسے شخص ہیںvāqif haiñ ham ki hazrat-e-ġham aise shaḳhs haiñaur phir ham un ke yaar haiñ ham aise shaḳhs haiñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جن پہ ہوں ایسے ظلم و ستم ہم نہیں وہ لوگہوں روز بلکہ لطف و کرم ایسے شخص ہیںjin pe hoñ aise zulm o sitam ham nahīñ vo loghoñ roz balki lutf o karam aise shaḳhs haiñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
یوں تو بہت ہیں اور بھی خوبان دل فریبپر جیسے پر فن آپ ہیں کم ایسے شخص ہیںyuuñ to bahut haiñ aur bhī ḳhūbān-e-dil-farebpar jaise pur-fan aap haiñ kam aise shaḳhs haiñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کیا کیا جفا کشوں پہ ہیں ان دلبروں کے ظلمایسوں کے سہتے ایسے ستم ایسے شخص ہیںkyā kyā jafā-kashoñ pe haiñ un dilbaroñ ke zulmaisoñ ke sahte aise sitam aise shaḳhs haiñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar